mujhe kuchh nahin malum kya chahti ho tum mujh se
mere pas hai kya jo main de sakta hun kisi ko
tabl-o-alam hai pas apne na mulk-o-mal
aur phir koi bahut KHas chiz hi honi chahiye tumhein nazar karne ko to
kya nahin hai tumhaare pas pahle se
husn aisa ki KHuda bhi KHush ho gaya hoga tumhein bana kar
raunaq si lag jati hai baiTh jati ho jahan
chalti ho to sath chalen sarw-o-sanobar
upar se paya hai zehn-e-rasa
main to azal se marta aaya hun husn aur danish ke imtizaj par
mahz KHub-surat aurat kabhi na lubha saki mujhe
na hi mutassir kar saki mujhe kam-shakl danish-wari
main aksar kahta hun tum mein KHuda ne jama kar diye hain chand aur suraj
dastanon se mawara chande aaftab chande mahtab koi hai to tum
aur phir tumhaari aawaz
pattharon ko pighla dene wala gudaz hai is mein
bolti ho to charagh se jal uThte hain mahfil mein
kyun sharminda karti ho ye kah kar mujhe ki tumhein zarurat hai meri
yaad aaya ek roz kaha tha tum ne
har kisi ko ek shana chahiye jis par sar rakh ke ro sake wo
aur fikr na ho ki mazaq uDaya jaega is ka ya banaya jaega is baat ka batangaD
lekin meri jaan aisa kaun sa dikh hai jo naubat aa gai rone ki
kya kahte hain roen tumhaare dushman
go main tumhaara dushman nahin lekin main jo hun rone ke liye
mere shane par sar rakh kar roin agar tum
to tumhaare aansu na ponchh sakunga main
main to KHud bah jaunga aansuon mein
mujhe to is KHayal hi se rona aa raha hai ki tumhaari aankhon mein bhare hon aansu
tumhein sach-much rota dekh kar kya haal hoga mera
han ek surat ho sakti hai albatta
tum ro lo mere shane par sar rakh kar
aur main ro lun tumhaare shane par sar rakh kar
kya ye mumkin hai
shana-ba-shana
Nazm
Shana-ba-shana
Mohammad Haneef Rame