kitni zau-pash umidon ke sahaare chhoTe
chand ek mast sharabi ki tarah warafta
kohar ki dhund mein chalta raha girta paDta
dasht-e-tanhai mein uThte rahe KHush-rang sarab
rang ki lahron pe khilte rahe nasrin-o-gulab
sarw ke sae mein uljhe hue anfas ke rag
mazi-o-haal ke sangam pe chalate rahe aag
pahle ek aag lagi aag phir ek yaad bani
yaad ashkon mein naha kar tere paikar mein Dhali
marmarin paikar-e-andaz ba-KHwab-aluda
jaise KHayyam ki taKHil sharab-aluda
yak-ba-yak arsh se phir koi sitara TuTa
dil laraz uTTha ki ek aur sahaara TuTa
teri zulfon ki tarah Dhal ke kamar tak pahunchi
raat bal khati hui baam-e-sahar tak pahunchi
Nazm
Sham se ta-ba-sahar kitne sitare TuTe
Ahsan Ahmad Ashk