raat ke aks-e-taKHayyul se mulaqat ho jis ka maqsud
kabhi darwaze se aata hai kabhi khiDki se
aur har bar nae bhes mein dar aata hai
us ko ek shaKHs samajhna to munasib hi nahin
wo tasawwur mein mere aks hai har shaKHs ka har insan ka
kabhi bhar leta hai ek bholi si mahbuba-e-nadan ka bahrup kabhi
ek chaalak jahan-dida o be-bak sitam-gar ban kar
dhoka dene ke liye aata hai bahkata hai
aur jab waqt guzar jae to chhup jata hai
meri aankhon mein magar chhaya hai baadal ban kar
ek diwar ka rauzan isi rauzan se nikal kar kirnen
meri aankhon se lipaTti hain machal uThti hain
aarzuen dil-e-gham-dida ke aasuda nihan-KHane se
aur main sochta hun nur ke is parde mein
kaun be-bak hai aur bholi si mahbuba kaun
soch ko rok hai diwar ki wo kaise chale
kaise ja pahunche kisi KHalwat-e-mahjub ke maKHmur sanam-KHane mein
wo sanam-KHana jahan baiThe hain do but KHamosh
aur nigahon se har ek baat kahe jate hain
zehn ko un ke dhundalke ne banaya hai ek aisa akkas
jo faqat apne hi man-mane manazir ko giraftar kare
main khaDa dekhta hun sochta hun jab donon
chhoD kar dil ke sanam-KHane ko ghar jaenge
sehn mein talKH haqiqat ko khaDa paenge
ek sochega meri jeb ye duniya ye samaj
ek dekhega wahan aur hi tayyari hai
mujh ko uljhan hai ye kyun main to nahin hun maujud
raat ki KHalwat-e-mahjub ke maKHmur sanam-KHane mein
meri aankhon ko nazar aata hai rauzan ka dhuan
aur dil kahta hai ye dud-e-dil-e-soKHta hai
ek ghanghor sukun ek kaDi tanhai
mera andoKHta hai
mujh ko kuchh fikr nahin aaj ye duniya miT jae
mujh ko kuchh fikr nahin aaj ye be-kar samaj
apni pabandi se dam ghuT ke fasana ban jae
meri aankhon mein to markuz hai rauzan ka saman
apni hasti ko tabahi se bachane ke liye
main isi rauzan-e-be-rang mein ghus jaunga
lekin aise to wahi but na kahin ban jaun
jo nigahon se har ek baat kahe jata hai
chhoD kar jis ko sanam-KHane ki mahjub faza
ghar ke bebak alamnak siyah-KHane mein
aarzuon pe sitam dekhna hai ghulna hai
main to rauzan mein nahin jaunga duniya miT jae
aur dam ghuT ke fasana ban jae
sang-dil KHun sukhati hui be-kar samaj
main to ek dhyan ki karwaT le kar
ishq ke tair-e-awara ka bahrup bharunga pal mein
aur chala jaunga us jangal mein
jis mein tu chhoD ke ek qalb-e-fasurda ko akele chal di
rasta mujh ko nazar aae na aae phir kya
an-ginat peDon ke minaron ko
main to chhuta hi chala jaunga
aur phir KHatm na hogi ye talash
justuju rauzan-e-diwar ki marhun nahin ho sakti
main hun aazad mujhe fikr nahin hai koi
ek ghanghor sukun ek kaDi tanhai
mera andoKHta hai
Nazm
Sham ko raste par
Meeraji