yak-ba-yak
dhup niche giri
jaise chini ki ek tashtari hath KHamosh saat ke aage larazne laga
aur kahne se honTon ke andar
chhupi barq aa kar chamakne lagi
aashiyan jal gaya
sham ka raqs maidan-e-hangama-e-KHauf mein
garm hota raha
pankhuDi pankhuDi qatra qatra utarta raha
main ki diwar ke samne dhup ka tez jhonka banun
aag ke darmiyan ek pani ka qatra banun
KHun zabanon ke shadab mein ek aawaz hone ka sahra banun
ruh ki garm lahron mein ek chashm hone ka chashma banun
tez masruf aankhon mein ek hadsa ka tamasha banun
aur
wo
KHwab ki ungliyon mein phansa nam hai
nile patton mein rista hua sabza-e-sard ayyam hai
han yun hi baiThe baiThe meri sari baaten suno
rone hansne ki koi zarurat nahin
Nazm
Sham ka raqs
Aslam Emadi