jab jhonka tez hawaon ka
kuchh soch ke dhime guzra tha
jab tapte suraj ka chehra
udi chadar mein lipTa tha
jab sukhi miTTi ka sina
sanson ki nami se jaga tha
hum log us sham ikaTThe the
jis ne hamein hans kar dekha tha
wo pahla dost hamara tha
wo sham ka pahla tara tha
jo shayad hum donon ke liye
kuchh waqt se pahle nikla tha
jab jhilmil karta wo kamra
cigaret ke dhuen se dhundla tha
jab nashsha-e-mai ki talKHi se!
har shaKHs ka lahja miTha tha
har fikr ki apni manzil thi
har soch ka apna rasta tha
hum log us raat ikaTThe the
us raat bhi kya hangama tha
main mahw-e-mudaraat-e-alam
aur tum ko zauq-e-tamasha tha
mauzu-e-suKHan jis par hum ne
rae di thi aur socha tha
duniya ki badalti haalat thi
kuchh aab-o-hawa ka qissa tha
jab sab logon ki aankhon mein
kamre ka dhuan bhar aaya tha
tab main ne khiDki kholi thi!
tum ne parda sarkaya tha
jis ne hamein dukh se dekha tha
wo pahla dost hamara tha
wo sham ka pahla tara tha
jo shayad hum donon ke liye
us raat sahar tak jaga tha
wo sham ka pahla tara tha
Nazm
Sham ka pahla tara
Zehra Nigaah