tu aa gai sham
surmai wahshat o hazimat ke sae sae
main dard-ha-dard ek nai nazm bun raha hun
daraKHt aaseb-zadgan dew-paikaran
chahchahe karahen
ye pat nauhe pe sina-kubi mein gum aza-dar
shaKHche barchhiyon ke phal
ghunche zaKHm na-ashna-e-marham
ghane daraKHton mein
zamzama-saz apni apni dhunon ko tartib de rahe hain
lahakte patton ki taliyon mein
hinai hathon ke thapthapane ka lams hai
shaKHchon ke pardon se munh nikale hue ye ghunche
kisi ko aawaz de rahe hain
nigar-e-nikhat ne hajla-e-gul ka parda parda diya hai
wo honT aawaz de rahe hain
ye buad kya hai?
hayat o maut aur shadi o gham ke silsilon
mein ye buad kya hai
zaruf o ahwal ke fasane mein sab mazahir
juda juda hain
main apne hone mein saneha hun ki
waqia hun?
jo ek manzar mujhe rulae
wahi parinde ki chonch par khil ke chahchahae
phir aa gai sham
surmai wahshat o hazimat ke sae sae
Nazm
Sham
Akhtar Usman