suno ye nazm kabhi nahin ho sakti
aur tum jaante ho
jab jazbe adhure rah jaen
to zaminen banjar ho jati hain
waqt guzra kahan
zaKHm waise hi abhi riste hain
dil bhar aaya us jagah
jahan mohabbat na-mohabbat se mili
jab wajud ek sawal bana
jab ruh ne jism ka sath chhoD diya
jab duaon mein tasir na rahi
qadam baDhe to bahut KHulus se the
jaante the ki rah kaThin hai
safar dushwar hai
bas ek aas thi
ki ye safar raegan to nahin
hum akele to nahin
hamare sath chalne ki chah mein
hamara safar bhi hai
magar nahin jaante the
ki hum to apne aap se juda ho gae
hum na jaan sake
ki miTTi se wo mahak hi uTh gai
jo dil ko dil se milati hai
so ab tak likhi gai har nazm
na-mukammal hi to hai
kisi pir-dana ne kaha tha
bahut si nagawar aawazen
tumhaare dhyan ko bhaTkaegin
magar tum pichhe muD ke mat dekhna
warna patthar ke ho jaoge
so ai pir-dana
main nahin dekhti pichhe muD ke
jab aawazen mere dil ko hadaf banati hain
main jaanti hun
ye aawazen mujhe tang karne ke liye hain
ye mujhe rokna chahti hain aage baDhne se
duniya ke har bure maqsad ke aaDe aati hain
ye aawazen
ye kanTon bhari aawazen
jo lahuluhan kar deti hain KHulus bhare dil ko
jaise kholta hua pani jala deta hai khaal ko
aise hi jalaya hai in aawazon ne
duniya se har ehsas ko
lekin
main ne bachaya apne sach ko
aur chalti ja rahi hun
sab se alag
sun ke anjaan rahne ka amal kuchh itna aasan to nahin
bas ek diwangi hai
jo mujhe bechain kiye hue hai
ek ajab si khoj hai
jo ghuTan ban gae hain sans lene ke amal mein
magar tu kahan hai pir-dana
to jo rahnuma tha
musibat ke maron ka
kahan bhaTak raha hai
to kya kal yug ki wo ghaDi aa gai
ki pir-dana ko shikar kar le gain
na-gawar aawazen
afsos-sad-afsos
Nazm
ShaKH-e-adam
Injila Hamesh