wada karo shairon
agli jang-e-azim shurua hone se pahle
tum hamare ghoDon ke pichhe pichhe bhagna
aur hamari talwaron ko uThana sikh jaoge
dhat se bani chizon ko
chamkane wali polish ke martaban
hum tumhaare ghar pahuncha denge
aur tum zindagi bhar
hamari Topiyon aur tamghon ko
aasmani chamak dete rahoge
apne dil par hath rakh kar
sachche dil se halaf uThao shaer
ki hamare jangi tayyaron aur mizailon ke siwa
kisi ki tarif nahin karoge
hamari banduqon aur Tankon ki nalon mein
kisi ko phul nahin rakhne doge
hamari topon aur juton ki dhamak ke siwa
koi aur aawaz nahin sunoge
agli jang-e-azim ka elan
hamare sath likho shairon
jangi taranon ke bol
hamare sath doharao shairon
jab jang shurua hogi
hamari talwaren hamein de dena
jab dushman hamla karega
hum apne ghoDon par sawar
pichhe ki taraf dauDenge
shairon
marne ke liye tayyar rahna
Nazm
Shairon
Zeeshan Sahil