kaghaz marakashiyon ne ijad kiya
huruf fonishiyon ne
shairi main ne ijad ki
qabr khodne wale ne tandur ijad kiya
tandur par qabza karne walon ne roTi ki parchi banai
roTi lene walon ne qatar ijad ki
aur mil kar gana sikha
roTi ki qatar mein jab chyunTiyan bhi aa kar khaDi ho gain
to faqa ijad ho gaya
shahtut bechne wale ne resham ka kiDa ijad kiya
shairi ne resham se laDkiyon ke liye libas banaya
resham mein malbus laDkiyon ke liye kuTniyon ne mahal-sara ijad ki
jahan ja kar unhon ne resham ke kiDe ka pata bata diya
fasle ne ghoDe ke chaar panw ijad kiye
tez-raftari ne rath banaya
aur jab shikast ijad hui
to mujhe tez-raftar rath ke aage liTa diya gaya
magar us waqt tak shairi mohabbat ko ijad kar chuki thi
mohabbat ne dil ijad kiya
dil ne KHema aur kashtiyan banain
aur dur-daraaz ke maqamat tai kiye
KHwaja-sara ne machhli pakaDne ka kanTa ijad kiya
aur soe hue dil mein chubho kar bhag gaya
dil mein chubhe hue kanTe ki Dor thamne ke liye
nilami ijad hui
aur
jabr ne aaKHiri boli ijad ki
main ne sari shairi bech kar aag KHaridi
aur jabr ka hath jala diya
Nazm
Shairi maine ijad ki
Afzal Ahmad Syed