koi taaruf hua nahin
nahin koi aashnai bhi
hoti hai tabhi hairat shairon pe
tasawwuraat ki parchhaiyon ko
ek wajud de pate hain kaise
aur taKHayyul ke parindon ko
kore safhe par qaid kar pate hain kaise
wo harf jo sirf harf hi the
juD kar kis Dor se
pur-asar ashaar ban gae
chand bikhre hue be-matlab lafz
simaT kar ek daere mein kaise
nazm-o-ghazal ban gae
ye hunar gir har insan mein hota
zindagi kitni KHush-gawar hoti hai
aur is jahan ki har shai
qabil-e-mohabbat hoti
magar shairi hai us fan ka nam
jise taqsim karne mein
dikhai hai tang-dili KHuda ne bhi
Nazm
Shairi
Aditya Pant u0027Naaqidu0027