KHun mein Dubi hui shairi
gham se wabasta ek naghmagi
sard hoti hui zindagi zindagi
jaan ghulati hui aagahi
ek bujhte hue KHwab ki raushni
KHubsurat dukanon ke aarasta shelf mein
la ke aaKHir saja di gai
yani bikne bikne ki shai hi bana di gai
likhne wale ka ehsas apni jagah
par tijarat ke apne taqaze bhi hain
zehn ka ghunT ho ya ki tiryaq ho
nirKH-e-bazar ki nisbaton se sabhi
ek sajawaT banawaT ke paband hain
dekhiye roz-o-shab kis qadar shauq se
dard ki samt baDhte hain gahak ke hath
zaKHm bikte hain kitne saliqe ke sath
Nazm
Shairi ki kitab
Ambareen Haseeb ambar