agar mujhe akela nahin dekh sakte
to rahne do isi tarah udas
ye to mat kaho
ki hamare kamre mein rakkhi hui
sab se aaKHiri kursi par baiTh jao
ya hamare juton ke pas
khaDe ho kar muskuraate raho
ya purana furniture chamkane wali polish ke liye ek nai nazm likh do
main wada karta hun
ki kisi baadal kisi phul
kisi hawa kisi sitare
ya phir kisi KHamoshi mein
jahan bhi jagah milegi
baiTh jaunga
ya is kamre se bahar ja kar
barish mein khaDa rahunga
Nazm
Shair
Zeeshan Sahil