na jaane kitne hi mazi ke KHwab bikhre hain
fasurda bhigi hui sogwar palkon par
junun hai ya ki KHirad is nigah ka mafhum
KHala mein DhunD raha hai koi na jaane kya
nigah dekh rahi hain pare zamane se
hai khoya khoya hua ramz-e-zindagi goya
fasana-e-gham-e-jaanan hai ya gham-e-duniya
machal rahe hain in aankhon mein aarzu ke sharar
in aansuon mein numayan hain waqt ki lahren
sunai deti hai rah rah ke zindagi ki pukar
labon ko gar mili jumbish to naghma phuT paDa
kabhi nashat ka jadu kabhi koi gham hai
KHamoshiyon mein hai iman-o-agahi ki jila
umid-o-bim se aage naya hi aalam hai
sahar ka nur hai us ki nigah mein 'anjum'
zamin ke husn ko shadab karne aaya hai
Nazm
Shair
Anjum Azmi