اردو हिंदी
Shair ke dil ki tamanna | Shaahi Shayari
shair ke dil ki tamanna

Nazm

Shair ke dil ki tamanna

Lala Anoop Chand Aaftab Panipati

;

miT jaen mulk se bughz-o-hasad aur dil mein watan ki izzat ho
daman mein fazaon ke har ja ek amn-o-sukun ki sarwat ho

sine hon pak kudurat se har lab par naghma-e-ulfat ho
firdaus-e-barin ka namuna phir duniya mein pyara bhaarat ho

ulfat ka sar mein sauda hai jazbaat ka tufan barpa hai
ghar ghar mein prem ki ganga ho shair ke dil ki tamanna hai

ai bhaarat mata lal tere is daur-e-KHizan mein sambhal jaen
sanche mein prem aur uns ke ab sab hindu muslim Dhal jaen

naghmon se sachchi mohabbat ke duniya ki fazaen badal jaen
ye manzar dekh ke ulfat ke aansu aankhon se nikal jaen

ulfat ka sar mein sauda hai jazbaat ka tufan barpa hai
ghar ghar mein prem ki ganga ho shair ke dil ki tamanna hai

wo mulk hai duniya se achchha jo rashk-e-jinan kahlata hai
aaram-o-rahat ki chizen sab jis mein insan pata hai

ai murli-dhar ki janm-bhumi tu sare sukhon ki data hai
hum teri aan pe marte hain to pyari bhaarat-mata hai

ulfat ka sair mein sauda hai jazbaat ka tufan barpa hai
ghar ghar mein prem ki ganga ho shair ke dil ki tamanna hai

bhar bhar ke jam-e-mohabbat ke mai-KHana-dahr mein KHub piyen
gokul mein nand ka lala ho murli ki pyari Ter sunen

wo naghme hawaon mein gaunjin sote hue jazbe jag uThen
ujDi hui basti ko dil ki yun ahl-e-watan aabaad karen

ulfat ka sar mein sauda hai jazbaat ka tufan barpa hai
ghar ghar mein prem ki ganga ho shair ke dil ki tamanna hai

har shaKHs ho wajd ke aalam mein ek dilkash rag labon par ho
ruhani naghme sun sun kar bedar bashar ka muqaddar ho

aankhon ke samne duniya mein ek sachche prem ka manzar ho
ek uns-o-mohabbat ka aalam aalam mein aaj sarasar ho

ulfat ka sar mein sauda hai jazbaat ka tufan barpa hai
ghar ghar mein prem ki ganga ho shair ke dil ki tamanna hai

jalwon se husn-e-azal ke ab sab KHurd-o-kalan pur-nur rahen
mai pi ke ishq-e-haqiqi ki ulfat ke nashe mein chur rahen

duniya mein rah kar duniya ke jhagDon se koson dur rahen
hum pyare kirshn ki bhagTi mein sarshaar rahen masrur rahen

ulfat ka sair mein sauda hai jazbaat ka tufan barpa hai
ghar ghar mein prem ki ganga ho shair ke dil ki tamanna hai