allama-iqbaal ke huzur
fitrat ka karobar to chalta hai aaj bhi
mahtab barg-e-gul pe phisalta hai aaj bhi
qudrat ne hum ko daulat-e-duniya bhi kam na di
sayyal zar-e-zamin se ubalta hai aaj bhi
duniya mein raushni bhi hamare hi dam se hai
mashriq se aaftab nikalta hai aaj bhi
par manzar-e-ghurub bahut dil-nashin hai kyun
maghrib ki sham apni sahar se hasin hai kyun
is kashmakash mein daulat-e-uqba bhi chhin gai
zauq-e-junun se wusat-e-sahra bhi chhin gai
sahra-e-arzu mein tag-o-dau nahin rahi
pa-e-talab se wadi-e-sina bhi chhin gai
tu ne to qartaba mein namazen bhi kin ada
apni jabin se masjid-e-aqsa bhi chhin gai
kohsar raund Dale gae khet ho gae
chaTTan hum zarur the ab ret ho gae
manzil pe aa ke luT gae hum rahbaron ke sath
bimar bhi paDe hain to chaaragaron ke sath
ghurbat-kade mein kash utar aae kahkashan
aankhen falak ki samt hain bojhal saron ke sath
uDna muhaal lauT ke aana bhi hai wabaal
zaKHmi dua KHala mein hai TuTe paron ke sath
is razm-e-KHair-o-shar mein hua kaun suraKH-ru
zarb-e-kalim kund hai firaun surKH-ru
Nazm
Shair-e-mashriq ki arz-dasht
Zaheer Siddiqui