shair-e-bisyar-go se hai ye meri iltimas
aap yun lillah samea ko na kije bad-hawas
muKHtasar si rasm-e-KHatna aur us par tis sher
aqd ke do bol ki taqrib aur chaalis sher
main ne mana shairi ka aap ko bohran hai
aap ki fikr-e-suKHan parchun ki dukan hai
aap Dhili kar ke rakh dete hain nas nas sher ki
uf ye chu-ghazla aur is par har ghazal das sher ki
aap ko jitne qawafi mil sake farhang mein
un ko Thunsa la ke ghazlon ki qaba-e-tang mein
aap ke sar par musallat jazba-e-tahsin hai
aur idhar sab ki zaban par sura-e-yasin hai

Nazm
Shair-e-bisyar-go
Raza Naqvi Vahi