اردو हिंदी
Shair | Shaahi Shayari
shair

Nazm

Shair

Akhtar Payami

;

aaj phir sanwla raha hai aariz-e-ru-e-hayat
maut ke qanun par hai zindagi ka garm hath

jhilmilata ja raha hai tund aandhi mein charagh
mil raha hai KHun ke qatron se manzil ka suragh

aa raha hai faqa-kash mazdur ke chehre pe rang
khurdure hathon se ab Takra rahe hain jam-o-sang

chhuT rahi hai nabz-e-hasti aa raha hai inqalab
uTh raha hai aaj farsuda aqaed ka suhag

zist ki gardan mein hai pazhmurda afsanon ka haar
maut ke shanon pe hai salma-e-geti ka nikhaar

ban rahi hain ab zamana mein nai pagDanDiyan
jin se guzrega jawan fikron ka pahla karwan

dastan-e-ahd-e-parina hai zauq-e-rang-o-bu
ab chhalakta hai KHum-o-saghar se insan ka lahu

bazm-e-husn-o-naz ki dildariyan bhi so gain
hijr ki raaton ki wo be-KHubiyan bhi ho gain