ek afsurda shah-rah hai daraaz
dur ufuq par nazar jamae hue
sard miTTi pe apne sine ke
surmagin husn ko bichhae hue
jis tarah koi gham-zada aurat
apne viran-kade mein mahw-e-KHayal
wasl-e-mahbub ke tasawwur mein
mu-ba-mu chur uzw uzw niDhaal
Nazm
Shah-rah
Faiz Ahmad Faiz