hum to yun bhi baj-guzar the sadiyon ke
hum to kitni hi naslon se
aap ki kitni hi naslon ko
haqq-e-namak mein
apne iman aur ana ka
nazrana dete aae the
hum ne to apne hisse mein
mahal-sara ke pichhwaDe ki
dhul chuni thi
aur rahon mein uDne wale kuchh tinke bhi
jin se ghonsle ban sakte the
mahal-sara ko in tinkon se kya KHatra tha
phir kyun aap ne shah-e-wala
chilon kawwon aur gidhon ko
chhoTe chhoTe ghonsle nochne par mamur kiya hai
aisa kyun hai shah-e-wala
hum sadiyon ke baj-guzar to
shahr-e-panah se bahar hain
lekin chilen kawwe aur gidh
shahr-e-panah ke andar hain
shahr-e-panah ki is taqsim mein
kis ka hath hai shah-e-wala
Nazm
Shah-e-wala
Mansoor Ahmad