chae ki bhap mein
ghulte, madum hote hue qahqahe sham ka bankpan
koi misra dhuen ke bagulon mein compos hota hua
koi nukta jo asrar ke ghup andhere se shoala-sifat sar uThae
ajab dhima dhima nasha iKHtilafat ka
apne nichle suron mein koi fikr marbut karta hua zawiya
tanz ke nawak-e-KHush-saliqa ki san-san
hawaon se mahfuz sanson mein aarasta muKHtalif sigreTon ki mahak
sham ke surmai bankpan mein kisi coat, muflar, sweater se uThti hui
KHushbu-e-ashna
joDti hai hamein ek samay se jo muddat se
ek na-mulaem zamane mein mahkum hai
kaun lahze ko wapas bulae
samay ko mukammal kare
apni nazmen usi ek tasalsul-zada daere mein hain
purkar jin ki rihai pe mail nahin
resturanon ke konon mein sahmi hui
kitni shamon ka jadu yahan satr-dar-satr mahbus hai
hum jo qaid-e-zaman-o-makan se nikalne ko par marte hain
bhala sham Dhalne pe alfaz ke panchhiyon ko jakaDte hain kyun
dam-e-taswir mein
ye bagule, dhuan, bhap asiri ke aadi nahin
sham KHud raat ki god mein ja ke girne ko be-tab hai
Nazm
Shaeron ka jabr
Tabish Kamal