اردو हिंदी
Shaeri pura mard aur puri aurat mangti hai | Shaahi Shayari
shaeri pura mard aur puri aurat mangti hai

Nazm

Shaeri pura mard aur puri aurat mangti hai

Hasan Abbas Raza

;

tum jo lafzon ke gorakh-dhande mein uljhe
be-ras shaeri karte ho

lughat se lafz uThate ho
aur daen baen un ko chaba kar

sher ugalte rahte
tum ko kya malum

ki kya hai ishq aur us ki haqiqat kya hai
pyar hai kya aur chahat kya hai

tum ne kisi ke hijr mein kab
raaten kaTi hain?

kab tum wasl ke nashshe se sarshaar hue ho
tum ko kya malum

ki honTon ka ras kya hota hai
kaise aankh se girte aansu moti ban jate hain

tum ko kya malum ki kaise
bazuon mein aa kar mahbub pighal jate hain

tum ko kya malum mohabbat kya hoti hai
tum ko kya malum judai ki shab kaise kaTti hai

aur din kitne viran hote hain
tum ko kya hai

tum to apni biwiyon se bhi
Dare Dare

sharminda sharminda ham-bistari karte ho
tum ko kya malum hai

shaeri
pura mard aur puri aurat mangti hai

tum ne kisi hijDe ke lab par
sher ka phul khile dekha hai

us ki ujDi viran aankh mein
nazm ka dip jale dekha hai

ye to ho sakta hai
(aur akasr aisa hota aaya hai)

shaer hijDe ho jate hain
lekin koi hijDa

shaer ho nahin sakta
shaeri pura mard

aur puri aurat mangti hai