kanTon ke taj chuno
ya
jab sach ki rah chalo
lafzon ke pech-o-tab mein ullu na bano
shaeri mat karo!
moTe-jhoTe yajmanon ki jhiDkiyan hon
ya kahil riya-kar afsaron ka phaTkaren
ya phir
dubli-patli diq-zada biwiyon ke tane hon
ya tota-chashm ayyar rut badli
mahbubaon ki jhuTi muskurahaTen
KHamosh raho
har shai ko
qudarat ka karishma samjho
par KHuda ke liye
bhagwan ke liye
shaitan ke liye
shaeri mat karo
manzar pas-manzar
KHamosh hota hai
peD sakit khaDe rahte hain
patte hilte hain
par na uDte hain
kahin dur se rail ki siTiyan ubharti hain
aur nazdik ke race-kors se
bhagte tezabi ghoDon ki Tapon se ziyaada
nau-dolatiye gadhon ki chiKH-o-pukar se
kan phaTne lagte hain
har kahin kanon ko
rui mayassar nahin aati hai
kam-az-kam
aankhen mund lo
(ye tumhaare bas mein hai)
andhiyare mein aawazen zail ho jaengi
zehn ke kale parde par
koi taswir nahin ubhregi
kanon mein
koi aawaz nahin aaegi
gunge bahre andhe ho jao
shaeri mat karo
aur andhiyare mein dur talak dekhte jao
der talak
be-subh-o-sham
be-jism-o-jaan
aakash aasman
dekhte jao
shayad isi lamhe
ya kal parson
ya sadiyan guzar jaane ke baad
zamin uD jaane
aasman bikhar jaane ke baad
har shai ke mar jaane ke baad
dhul simaT jaegi
dhund miTegi
andhiyare mein chaaron jaanib
aaina ubhrega
kanon mein nuqrai ghanTiyon ke maddham naghmon
ki sharabon ka nashsha gunjega
chaaron samt sunahri safed moti
sa chamakta chehra ubhrega
chaaron jaanib sar-sugandh ki malaen
lahraengi
nit-naweli sada ki doshiza
shaeri ki palki par sawar aaegi
mujh ko
dur bides le jaegi
Nazm
Shaeri mat karo
Khaleel Mamoon