shaer
sipahi ki tarah nahin hote
aur isi liye
jang mein kaam nahin aate
aur hawa nahin ban sakte
pani nahin ban sakte
aur aag bhi nahin ban sakte
wo barish ban jate hain
aur har taraf barasne lagte hain
wo chiDiya ban jate hain
aur daraKHton ki hifazat karte hain
wo jahaz ban jate hain
aur baadalon ko chhune lagte hain
koshish karte hain shaer
KHushi ban jaane ki
apni hatheliyon ko joD kar
duniya bhar ke aansu jama karne ki
koshish karte hain shaer
ki ek bhi qatra miTTi mein na milne pae
tar-coal mein na jamne pae
ehsas hota hai unhen motiyon ki qadar-o-qimat ka
apne KHwabon ki reshmi Dor se mala banate rahte hain
sitare nahin joDte wo
aansuon ke sath
phul nahin pirote os mein Dube hue
apni is Dor mein bahut si chizen chhoD dete hain
wo KHali rah jaane wale dilon ke liye
daraKHton ko be-jagah nahin karte
saya nahin churaate un ka
gilahriyon ko nahin marte
apni jeb mein chhupi mung-phaliyan
daraKHt ke pas rakh ke
na jaane kahan chale jate hain
nazar hi nahin aate
daraKHt bata nahin pate
ki shaer aasman ko chhuta
ek daraKHt ban ke
duniya mein sama gae hain
Nazm
Shaer
Zeeshan Sahil