اردو हिंदी
Shaer ki tamanna | Shaahi Shayari
shaer ki tamanna

Nazm

Shaer ki tamanna

Jameel Mazhari

;

agar is gulshan-e-hasti mein hona hi muqaddar tha
to main ghunchon ki muTThi mein dil-e-bulbul hua hota

gunahon mein zarar hota, duaon mein asar hota
mohabbat ki nazar hota, hasinon ki ada hota

farogh-e-chehra-e-mehnat, ghubar-e-daman-e-daulat
nam-e-peshani-e-ghairat, KHam-e-zulf-e-rasa hota

hua hota kisi dastar-e-kaj par phul ki tarah
aur us dastar-e-kaj ki tamkanat par hans raha hota

kisi maghrur ki gardan pe hota bojh ehsan ka
kisi zalim ke dil mein dard ho kar la-dawa hota

kisi munim ke chehre par KHushi hajat-rawai ki
kisi nadar ki nazron mein sharm-e-iltija hota

kisi bhaTke hue rahi ko deta dawat-e-manzil
bayaban ki andheri shab mein jogi ka diya hota

kisi ke kalba-e-ahzan mein sham-e-muzmahil ban kar
kisi bimar muflis ke sirhane ro raha hota

sharar ban kar kisi nadar ghar ke sard chulhe mein
ba-sad ummid-e-farda zer-e-KHakistar daba hota

yatim-e-be-nawa ki rah-guzar par ashrafi ban kar
laim-e-faqa-kash ki jeb-e-mumsik se gira hota

niystan se nikal kar hasrat-abaad-e-tamaddun mein
gada-e-pir o na-bina ke hathon ka asa hota

shikasta jhonpaDe mein bansuri-e-dahqan ki sur ban kar
sukut-e-nim-shab mein raaz-e-hasti kah raha hota

gharaz is hasrat-o-andoh-o-yas-o-gham ki basti mein
kahin daur-afrin hota, kahin dard-ashna hota

Duboya mujh ko hone ne ba-qaul-e-ghaalib-e-dana
na tha kuchh to KHuda tha, kuchh na hota to KHuda hota