mere pote ne oxigen ka basta
apni piTh par bandh kar
ijazat mangi
KHala ke safar ke liye
mere beTe ne jo raushni ko gin
raha tha mez par
apni nigahon ke do sawaliya
shanon ko
uchhaal diya meri taraf
main ne dawa ki goliyon ke rakhte hue
ek mariza ke nahif hath mein
apni jhurriyon ke bhanwar se
phenk daya do nigahon ka sawal
pusht ki diwar par
jahan ek shaeri ki taswir hai
Tangi hui
wo mere baba hain
ki KHwab ki duniya basane wale
shaer ke
KHwabon ki ye tisri tabir thi
ek pal KHamushi rahi
ek pal ke baad
honTon ke chand phul khile
jabin par ek chand uga aur
phir ghurub ho gaya
aur
dur KHalaon mein upar ko tairti hui
machine ki aawaz
maddham hoti chali gai
Nazm
Shaer ka KHwab
Perwaiz Shaharyar