zindagi tere liye bistar-e-sanjab-o-samur
aur mere liye afrang ki daryuza-gari
aafiyat-koshi-e-aba ke tufail
main hun darmanda-o-be-chaara adib
KHasta-e-fikr-e-maash
para-e-nan-jawin ke liye mohtaj hain hum
main mere dost mere saikaDon arbab-e-watan
yani afrang ke gulzaron ke phul
tujhe ek shaer-e-darmanda ki ummid na thi
mujh se jis roz sitara tera wabasta hua
tu samajhti thi ki ek roz mera zehn-e-rasa
aur mere ilm-o-hunar
bahr o bar se teri zinat ke guhar laenge
mere raste mein jo hail hon mere tira-nasib
kyun duaen tari be-kar na jaen
tere raaton ke sujud aur niyaz
(us ka bais mera ilhad bhi hai)
ai meri sham-e-shabistan-e-wafa
bhul ja mere liye
zindagi KHwab ki aasuda faramoshi hai
tujhe malum hai mashriq ka KHuda koi nahin
aur agar hai to sara-parda-e-nisyan mein hai
tu masarrat hai meri tu meri bedari hai
mujhe aaghosh mein le
do ana mil ke jahan-soz banen
aur jis ahd ki hai tujh ko duaon mein talash
aap hi aap huwaida ho jae
Nazm
Shaer-e-darmanda
Noon Meem Rashid