KHabt mujh ko shaeri ka jab hua
das minute mein saTh ghazlen kah gaya
sab se ro ro kar kaha sun lo ghazal
taki main ho jaun phir se normal
rahm apnon ko na aaya jab zara
to pareshan ho ke hotel mein gaya
taki mil jae ek aisa aadmi
chae pi kar jo sune ghazlen meri
ja ke baiTha sat ghanTe jab wahan
ek muazzaz shaKHs aae na-gahan
dekhte hi ho gaya dil bagh bagh
ab to hoga peT halka aur dimagh
baad-az-adab aur taslim ke
main ne un se ye kaha tazim se
aaie taklif itni kijiye
chae mere sath hi pi lijiye
aa ke baiThe sath jab ki iltija
aap ka jo hukm ho mangwaonga
muskura kar phir to bole aan-janab
murgh yaKHni qorma nargis kabab
shirmal o shahi TukDa ferni
aur agar mil jae to churan koi
toss makkhan dudh kafi raita
al-gharaz jo kuchh kaha mangwa liya
nak tak jab kha chuke main ne kaha
ho taaruf ab hamara aap ka
nam hai 'asrar' mera mohtaram
sari duniya jaanti hai besh-o-kam
shaer-e-azam hun main izzat-maab
wo ye bole main to bahra hun janab
Nazm
Shaer-e-azam
Asrar jaamayee