narcissus ke pahlu mein baiThe hue
aks apna hi talab mein dekh kar
kitni sadiyon se apni hi ulfat mein gum
KHud-pasandi ke mare hue log the
KHud-numai ke zer-e-asar aa gae
aaine ka fusun is qadar baDh gaya
KHud ko taswir karne ki KHwahish uThi
apne hathon mein apni hi aankhen liye
muKHtalif zawiyon se nazar KHud pe ki
be-yaqin ho gae
KHud-farebi mein madhosh hote hue
iztirab nazaryon maraz ban gaya
ek waba ki tarah phailta hi gaya
nafsiyati girah jab ulajhne lagi
apni tashhir ka sar mein sauda liye
aap apna tamasha lagaya gaya
aur dikhawe ke be-sud qirtas par
naqsh-dar-naqsh KHud ko miTaya gaya
rup bahrup surat mein laya gaya
KHal-o-KHad gum hue
shaKHsiyat ke sabhi rang uDte gae
aur be-chehragi aks hone lagi
Nazm
Selfi
Salman Sarwat