hijr ke be-sada jazire par
kunj-e-tanhai mein koi laDki
KHal-o-KHad par laga ke aas ka rang
chashm-o-lab par saja ke dil ki umang
aankhon aankhon mein muskuraati hai
sham ki surmai udasi mein
apni taswir KHud banati hai
adh-khule honT nim-wa aankhen
be-nawa honT be-sada aankhen
aisi KHamoshi aisi tanhai
KHud tamasha hai KHud tamashai
KHud hi taswir KHud musawwir hai
KHud ghazal aur KHud hi shaer hai
sochti hai ki jis ke hijr mein main
shama si subh-o-sham jalti hun
mom si raat din pighalti hun
kash wo meri raushni dekhe
meri aankhon ki an-kahi samjhe
mere tan-man ki bebasi dekhe
jitni shiddat se KHud ko dekhti hun
kash wo bhi mujhe kabhi dekhe
Nazm
Selfi
Rehman Faris