dekha hai kisi ne use kahin
aadhe sar mein uljhe uljhe ujle baal
sanwle rang ke chehre par bhi
ujle baalon ka bhaunchaal
us ki surat
kabhi kabhi malgaji sham si
kabhi sahar nurani hai
andhiyare ujiyale ki ye surat fann-e-la-fani hai
peshani ke aaine par mar-miTte lakhon aakash
diwani diwani aankhen
aur bahut be-sabr nigahen
dushT-manon ke har patthar mein
prit aur komalta ki talash
us ke tan par garm kafan aur ThanDi kafani sajti hai
sachcha rup hai pagal-pan ka behad ajib hasti hai
mast anek nashon mein us ke sab din aur sab raaten
us ke bahke qadam karen dharti ke dil se baaten
gali gali mein chaurahe par bhiD ho ya ho tanhai
is duniya ke hosh kar parkhe, nashe mein us ki binai
dekha hai kisi ne use kahin
Nazm
Self-portrait
Niyaz Haidar