ek bahut ajib aur gahri sham mein
main ne
zaKHmi parinde ko diwar ki munDer par
sustate hue dekha
us ki aankhen nikli paD rahi thin
aur zaban bahar nikal aai thi
main ne is se pahle bhi
aisa manzar kahin dekha tha
meri yaad-dasht bahut KHarab hai
mujhe kuchh yaad nahin rahta
han
nae manzaron se milta julta
koi purana manzar
mujhe yaad aata hai
aise hi kisi manzar mein
us parinde ki haalat se
milti-julti
ek laDki ki taswir
main ne
kaghaz par banana chahi
lekin parinda uD gaya
aur laDki
barahna ho gai
Nazm
Self-portrait
Azra Abbas