main ne apni umr ka sarkash ghoDa
yaadon ke ek peD se bandha
mera langData buDhapa
sattar us ke sae sae pachpan
mera ghar mera daftar
meri jawani mera bachpan
teis bais un ke pichhe terah bara
mere ganw ka chaubara
mujh ko to ye sara manzar
pal pal apna rup badalta manzar
dhundla dhundla sa lagta hai
meri mez pe mani ka ek but tha
main ne us ki patthar-ankhon patthar-honTon par
thoDa sa lafzon ka pani thoDi si whiskey chhiDki
ab dekhun to mera aaina dhula dhula sa
ab sara manzar achchha lagta hai!!
Nazm
Sawaneh-umri
Mushaf Iqbal Tausifi