اردو हिंदी
Sawali | Shaahi Shayari
sawali

Nazm

Sawali

Yusuf Zafar

;

guzar rahe hain barabar tabahiyon ke julus
ye zindagi ke musafir kahan chale jaen

ye ishtihaar ghamon ke alam ki taswiren
ye zindagi hai nahin gard-e-zindagi bhi nahin

jawan umiden fazae-hayat se mayus
tanur sine ka indhan hain wo tamannaen

jali huruf mein ye hadson ki tahriren
ki jin se dil ke andhere mein kuchh kami bhi nahin

ye aadmi hain nahin bebasi ki taqriren
bapa hai hashr magar aankh dekhti bhi nahin

guzar rahe the wo hasti ke mujriman-e-azal
qadam baDhae hue main kahan chala aaya

jinhen bahisht ki rahat bhi sazgar na thi
sulagti pani mein suraj ki lash wo Dubi

wo zindagi ke musafir wo ham-rahan-e-ajal
faza mein phail gaya tirgi ka sarmaya

guzar gae ki unhen maut nagawar na thi
falak pe jagi sitaron ki shan-e-mahbubi

wo rahguzar mere dil ki rahguzar na thi
ubal paDe meri aankhon se gham ke aansu bhi

sukut-e-shab hai kamal-e-sukun hai paida
ye chahta hun yunhi be-sabab chala jaun

sukun-e-shab se ye dil mein KHayal aata hai
wo zindagi hai kahan jis ko sath le jaun

wo zindagi hai kahan jis ko sath le jaun