muddaton se
KHamoshi ke be-ant warnon ki andhi gupha mein
khaDa wo
meri putliyon mein
sawalon ka neza utare hue puchhta hai
main teri tamanna mein apne liye
dard ke ek siyah-ru samundar se
tanhaiyon ke siyah sip laya
sukh ke sare diye
aur
masarrat ki malaon ko toD kar
dukh ka war main ne manga
ki tu meri rakhsha ko aae
magar mujh ko kyun
in aziyyat ki kali salibon pe
KHamoshiyon ki darinda-sifat kil se jaD diya hai
mujhe kis liye
phenka gaya hai
Nazm
Sawal sawal siyah kashkol
Ejaz Rahi