wo kaisa tere jism ka KHwab tha
ki jis ke lahu mein sharare uchhalte rahe
kab jale aur bujhe KHwab hai
wo hawa jo unhen chhu gai
sans ban kar abhi maujzan hai rag-o-pai mein
lekin sharare kahan hain
lahu be-sabab ghumta hai
ghulamana gardish hai kolhon mein jakDe hue bail ki
jis ki aankhon pe paTTi bandhi hai
ek andha safar hai
azal ta abad
kya yahi thi tamanna ki duniya bane aur suraj ke atraf chakkar lagati rahe
Nazm
Sawal
Mughni Tabassum