hum apne KHwab-e-KHush-fahmi se uTThe
bahut shadan-o-farhan
chale duniya ki jaanib mol karne ko
hamari jeb mein mehr-o-wafa iKHlas aur sachchai hai
lekin
yahan bazar mein sab log kahte hain
badal kar rah gai hai ab currency is zamane ki
tumhaare pas to jo kuchh bhi hai
be-kar raddi hai
ki ab waqat nahin hai koi jis ki
yahan to ab faqat
makr-o-fareb aur jhuT ka sikka chalega
agar ye pas hai
to sari duniya hai tumhaari
hamari sadgi par
ek zamana hans raha hai
jise dekho tajjub se yahi wo puchhta hai
kahan tum ab talak soe hue the
ki duniya is qadar tabdil hone ki KHabar tum tak nahin pahunchi
nahin malum ye kya majra hai
wagarna hum to sunte aae the ab tak
ki jo ek arsa mahw-e-KHwab rahte hain
kisi behtar zamane mein uTha karte hain
lekin
hamare sath ye kya ho gaya hai
Nazm
Sawal
Ambareen Haseeb ambar