ek sang tarash jis ne barson
hiron ki tarah sanam tarashe
aaj apne sanam-kade mein tanha
majbur niDhaal zaKHm-KHurda
din raat paDa karahta hai
chehre pe ujaD zindagi ke
lamhat ki an-ginat KHarashen
aankhon ke shikasta marqadon mein
ruThi hui hasraton ki lashen
sanson ki thakan badan ki ThanDak
ehsas se kab talak lahu le
hathon mein kahan sakat ki baDh kar
KHud-saKHta pikaran ko chhu le
ye zaKHm-e-talab ye na-muradi
har but ke labon pe hai tabassum
ai tesha-ba-dast dewtao!
taKHliq azim hai ki KHaliq
insan jawab chahta hai
Nazm
Sawal
Ahmad Faraz