karoDon jagon se mere samne tha
bahut dur tak kholti duriyon ka samundar
lajili si chup chap nilahaTon ka sulagta sa sagar
samundar ke us par manD ke aundhe kuen mein
karoDon jagon ke samay ki
dhundlakon mein lipTi hui paro rashk tahon kaid hoen main lagan lagan ke lahke hue peD ki jhulti Daliyon par
andheron ke shafash patton ke ojhal
guhar an-ginat raat bhar is taron ki jin par sajati
madhurta bhare rup mein chand ki us par muskuraati
jab ujli ro pahli si chhanw mein aahista se chheD deti
koi ras mein bhiga hua sa masarrat bhara git dharti
kabhi mast nainon ki jhilon ke jal mein
wo bhedon bhari raushni Dali ki tarah dur tak ja utarti
kisi pit joDe ki bahki si parchhaiyon mein
kabhi rang sapne ke jadu ka bharti
kabhi pyar ki aag ke aanchalon mein
wo bite sumon ki madhur yaaden ban kar bikharti
kabhi aag barsat ki ThanDi ThanDi pawan mein
barra ki kaTaron se ghayal dilon ko dikhati
kabhi bhar ke sundar palon ki hasin motiya rang ki pyaliyon mein
mohabbat ki pyasi ek ek aatma ko
manohar milan ki madhur kalpanaon ka amrit pilati
wo bhar bhar ke mukhDe ki muskan se badliyon ke kaTore
kabhi apne hi darpan aise badan par maze se lunDhati
magar aaj dharti se ambar ke us par hadd-e-nazar tak
KHirad ki suhani suhani uDanon ka pal ban chala hai
bahut jald us pal ki pur-nur rah se guzar kar
chahakti hui chand ki apsara ko
ragon mein rachai hui qarna-ha-qarn ki chandni ke ewaz main
main atom ke gambhir saya ki anmol saughat dunga
main bhaTke hue gyan ki qimti raat dunga
Nazm
Saughat
Takht Singh