gul-danon mein saje hue phulon ko main ne
raat apni aaghosh mein le kar itna bhincha
sare rang aur sari KHushbu ang ang
mein basi hui hai
sari duniya nai hui hai
par mujh ko in sab rangon aur KHushbuon se Dar lagta hai
jin ka muqaddar tanhai ho
ya phir aisi ruswai ho jis ki aag mein baras baras ke
saje hue manzar jal jaen
ghar jal jaen
Nazm
Saughat
Iftikhar Arif