kitabon ka zina bana kar
machani se main ne miThai churai to
ghar mein kisi ko bhi ghussa na aaya
ye kam-sin zehanat ki tasir thi
ya shararat ki shirin shakar-qandiyon jaisi umron ki lazzat
abhi tak wo KHush-zaeqa waqia
jab rag-e-jaan mein ghulta hai
bachpan ke baghat ki titliyan
phul ban kar barasti hain
pathrili umron ke din raat ki
zard kali musibat ka gham bhul kar
muskurahaT ki miThi phuwaren
bayaban ko jal-thal banati hain gati hain
ek do tin
allah miyan ki zamin
chaar panch chhe sat
sare mil kar khaen bhat
aaTh nau das pani miTha ras
pani ki lahron pe hachkole khati hui
kaghazi-umr ki naw
karwaT badal kar ulaT deti hai KHwab sare
kitabon pe girte hue aansuon se
siyahi ke dariya hi bante hain
dariya samundar banate hain
sare samundar siyahi qalam ban gain sari shaKHen
qasam ungliyon ki
mohabbat bhara KHat mere aur tere darmiyan tir hai
main likkhun aur likhta rahun ta-qayamat
mohabbat ki nazmen
magar jaaniyan in kitabon ko zina bana kar
kai bar main ne
tere aasmanon pe ja kar
tujhe DhunD lane ki nakaam koshish mein
aansu bahae
siyahi ke dariya banae
kahan hai tu KHud apni shirin sada se
meri tira-baKHti mein
shubhraat ki misriyan ghol de
man to naraaz hai
ab kai roz se bolti bhi nahin
Nazm
Sattar maon ka pyar
Ali Mohammad Farshi