ye samundar
mauj-dar-mauj salasil
halke gahre sabz nile rang
jin par ja-ba-ja chandi ke dhabbe
us kinare par gulabi rang mein Duba hua ek gol chehra
phailte pani mein apne aatishin honTon ki surKHi gholta jae
main ek sone ki kashti mein sawar
un hasin rangon mein madhosh
us kinare ki taraf baDhta chala jata hun
dur sath-e-ab par wo ek baglon ki qatar
ye samundar ke rishi gyani
jo pani ke har ek sur-tal se aagah hain
ab tak ye be-fikri se maujon par sawar
tairte jate the
kyun phir dafatan
Toli bana kar uD gae
main nazar ke tar par raqsan
wo naghmon ke suron mein gum
Nazm
Sarosh
Ejaz Farooqi