ye sab ne dekha
ki saz-e-gul se nikal ke KHushbu ka ek jhonka
hazar naghme suna gaya hai
magar kisi ko nazar na aaya ki is ke parde mein gul ne apna
tamam jauhar luTa diya hai
ye meri sochon ki sabz KHushbu
ye meri nazmen ye mera jauhar
ye mere lafzon ke shahazade
ye meri aawaz ke musafir
nikal ke honTon ki wadiyon se
KHamoshiyon ke muhib jangal mein aahaTon ke fareb khate
nashat-e-manzil ki justuju mein
udas raston pe chal rahe hain
safar ke dozaKH mein jal rahe hain
Nazm
Sarmaya-e-jaan
Amjad Islam Amjad