ye sarhaden paDosanen
kabhi hansi-KHushi rahin
kabhi zara si baat ho to laD paDin
na aanganon mein ek sath raqs ho
na baam par hi bahami qadam paDe
gali mein koi khel ho
na tal ho, na mel ho
kashidgi ke nam par ghuTan ki rel-pel ho
ye sarhaden paDosanen
paDosanon se kya kahen
jahan mein ranjishon ke sab glacier pighal gae
magar yahan kuduraton ki barf hai jami hui
hawa se kis tarah kahen
chale to sirf ek hi taraf chale
ye dhup bhi to kab kisi ke bas mein hai
ki parbaton ko sarhadon mein banT de
ye KHar-dar daere kahin bhi khinchte chalo
magar kabhi koi sada bhi ruk saki
ye KHushbuon ke qafile
rahenge har taraf rawan
gali mein aa hi jaengi
mohabbaton ki titliyan
ye sarhaden paDosanen
banengi phir saheliyan!
Nazm
Sarhaden
Fazil Jamili