is qadar tera o sard hargiz na tha dil ka mausam kabhi
ek pal mein KHuda jaane kya ho gaya
chand ki wadiyon mein utar aai shab!
main wo tanha subuk-pa musafir tha takmil ki justuju
khinch lai thi ek roz jis ko yahan
aarzu thi mujhe main zamin ke liye
meri tarrar purkar chashm-e-nihan
faslon sarhadon
waqt ke sab hisaron ke us par ki
shahr-e-imroz mein
an-ginat KHubsurat tasawir aawezan kar degi jab
dur ki har pur-asrar sarshaar aawaz mere lahu mein utar jaegi
mere daman ko phulon se bhar jaegi
sard se sard-tar
har ghaDi ho rahi hai rag-o-pai mein bahte anasir ki rau
shab guzar jaegi
chand ki munjamid wadiyon mein sulagti hui raushni
subh-dam ek pal mein umanD aaegi
mujh ko Dar hai magar
saat-e-nau ke hangam se peshtar
tera sard shab ka bhayanak amal
dil ke aafaq par
ho na jae kahin maut tak hukmaran
KHatm ho jae takmil ki dastan!!
Nazm
Sard, tarik raat
Balraj Komal