اردو हिंदी
Sarae | Shaahi Shayari
sarae

Nazm

Sarae

Asghar Mehdi Hosh

;

larazte kanpte kamzor buDhe suraj ka
lahu baha chuka qazzaq-e-afrida-e-shab

nai naweli suhagan ki mang ki manind
siyah jhil ke pani mein surKH surKH lakir

tamam kashtiyan sahil ki samt lauT gain
wo dur chand gharondon ki chhoTi si basti

basi hui hai jo KHushbu-e-mahi-o-mai mein
abhi abhi ye andheron mein Dub jaegi

parinde apne baseron ki samt uD bhi gae
na bansuri hai na bheDen hain aur na charwahe

ghani ghani si udasi thaki thaki si ye sham
zara zara sa ujala hai ab bhi lauT chalen

isi chaTan pe kal koi aur baiTha tha
isi chaTan pe kal koi aur baiThega