dasht-e-imkan mein jari hai
sarabon ka safar
ek sahra-e-junun
hadd-e-nazar hai hail
shaKH-e-zaitun pe
aawaz ka panchhi ghayal
daur-e-pazeb ki chham chham hai
chamakti shai hai
rah-guzar koi nahin
dhund ke manzar ke siwa
ek teri yaadon ke siwa
har taraf ret ke uTThe hain bagule
hatim
naqsh-e-pa koi nahin
KHun ke qatron ke so
ek sadi bit gai
ek zamana guzra
ab yaqin kaise ho
honT tishna hain mere
KHushk gila hai ab bhi
har taraf karb-o-bala hai ab bhi
dasht-e-imkan mein jari hai
sarabon ka safar
Nazm
Sarabon ka safar
Shamim Qasmi