wasl ke fasane se
hijr ke zamane tak
fasla hai sadiyon ka
fasla kuchh aisa hai
umr ki masafat bhi
jis ko tai na kar pae
manzilon ke milne tak
aarzu hi mar jae
chaar samt aahon ke
dil-figar manzar hain
manzaron ki barish mein
aankh bhigi rahti hai
aaine se kahti hai
kis liye sanwarti hon
kyun singhaar karti hun
ajnabi musafir ka
intizar karti hun
roz roz jiti hun
roz roz marti hun
Nazm
Sarab
Naz Butt