jine se dil bezar hai
har sans ek aazar hai
kitni hazin hai zindagi
andoh-gin hai zindagi
wo bazm-e-ahbab-e-watan
wo ham-nawayan-e-suKHan
aate hain jis dam yaad ab
karte hain dil nashad ab
guzri hui ranginiyan
khoi hui dilchaspiyan
pahron rulati hain mujhe
akasr satati hain mujhe
wo zamzame wo chahchahe
wo ruh-afza qahqahe
jab dil ko maut aai na thi
yun be-hisi chhai na thi
college ki rangin wadiyan
wo dil nashin aabaadiyan
wo nazninan-e-watan
zohra-jabinan-e-watan
jin mein se ek rangin qaba
aatish-nafs aatish-nawa
kar ke mohabbat aashna
rang-e-aqidat aashna
mere dil-e-nakaam ko
KHun-gashta-e-alam ko
dagh-e-judai de gai
sari KHudai le gai
un saaton ki yaad mein
un rahaton ki yaad mein
maghmum sa rahta hun main
gham ki kasak sahta hun main
sunta hun jab ahbab se
qisse gham-e-ayyam ke
betab ho jata hun main
aahon mein kho jata hun main
phir wo aziz-o-aqriba
jo toD kar ahd-e-wafa
ahbab se munh moD kar
duniya se rishta toD kar
hadd-e-ufuq se us taraf
rang-e-shafaq se us taraf
ek wadi-e-KHamosh ki
ek aalam-e-behosh ki
gahraiyon mein sau gae
tarikiyon mein kho gae
un ka tasawwur na-gahan
leta hai dil mein chuTkiyan
aur KHun rulata hai mujhe
be-kal banata hai mujhe
wo ganw ki ham-joliyan
mafluk dahqan-zadiyan
jo dast-e-fart-e-yas se
aur yurish-e-aflas se
ismat luTa kar rah gain
KHud ko ganwa kar rah gain
ghamgin jawani ban gain
ruswa kahani ban gain
un se kabhi galiyon mein ab
hota hun main do-chaar jab
nazren jhuka leta hun main
KHud ko chhupa leta hun main
kitni hazin hai zindagi
andoh-gin hai zindagi
Nazm
Sar-zamin-e-yas
Sahir Ludhianvi