qafas ka dar khula ek nim-jaan kam-sin
parinda chand KHasta zaichon par raqs ke andaz mein aage
baDha, phir chonch se apna pasandida
musawwar zaicha us ne uThaya aur apne hi
hidayat-kar ke aage
adab se rakh diya jhuk kar
hidayat-kar garche nur se tha bad-guman mahrum na-KHwanda
sar-e-sail-e-rawan ek barg-e-be-maya
nawisht-e-baKHt ke asrar se waqif tha wo shayad
nazar ke ru-ba-ru us ne
mata-e-be-nihayat ke fasane se mujhe KHush-haal kar Dala
mujhe pamal kar Dala
sabhi mauj-e-ziya mein the
sabhi ke chashm o dil mein ek shola tha
sabhi KHamosh gum-sum hain
yahan se kaun jaega
yahan par kaun aaega
parinda nim-jaan kam-sin
qafas mein ja chuka kab ka
hidayat-kar ki aankhon mein lauT aai hai virani
jo kal KHali tha wo dast-e-talab hai aaj bhi KHali
labon par lutf-e-andam-e-nihan ki an-suni gali
Nazm
Sar-e-rahguzar ek manzar
Balraj Komal