اردو हिंदी
Sar-e-asman sar-e-zamin | Shaahi Shayari
sar-e-asman sar-e-zamin

Nazm

Sar-e-asman sar-e-zamin

Ahmad Hamesh

;

malum nahin kya hua ki jins mohabbat pe hawi ho gai
goya mohabbat haar gai aur jins jit gai

jo hath hath mein paiwast ho sakte the
wo hath kahan hain

jo hath ko thame kuchh dur chal sakte the
kya un hathon ko toD diya gaya

wo hath kahan gae jo nazm likhte the
wo hath kahan gae jo aasman ko zamin par utar sakte the

kaun kab kahan
phenka gaya

aur ab to jugnuon se bhare jangal mein man akeli hai
ek jugnu bhi nahin jo raushni ko hisar kare

aur man ko us ke jilau mein le aae
ab itna samay nahin ki

aasman ya zamin use bosa den